wo mar gaya sar-e-mahfil ye bain karta hua
vo mar gayā sar-e-mahfil ye bain kartā huā
mire ḳhamīr meñ kuchh dard jaisā hai hī nahīñ
sab apnī zaat meñ ik anjuman ke mujrim haiñ
kisī vajūd meñ kuchh fard jaisā hai hī nahīñ
havas kī bād-e-ḳhizānī kā paas hai varna
kuchh us ke pairahan zard jaisā hai hī nahīñ
maiñ ḳhūñ-ba-chashm bhī apnā tamāsh-bīñ huuñ 'arsh'
ajab lahū hai mirā gard jaisā hai hī nahīñ
wo mar gaya sar-e-mahfil ye bain karta hua
mere KHamir mein kuchh dard jaisa hai hi nahin
sab apni zat mein ek anjuman ke mujrim hain
kisi wajud mein kuchh fard jaisa hai hi nahin
hawas ki baad-e-KHizani ka pas hai warna
kuchh us ke pairahan zard jaisa hai hi nahin
main KHun-ba-chashm bhi apna tamash-bin hun 'arsh'
ajab lahu hai mera gard jaisa hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.