wo ek chehra jo us se gurez kar jata
vo ek chehra jo us se gurez kar jaatā
to ā.īna usī dam TuuT kar bikhar jaatā
na jaane kaise banī vo zabān patthar kī
vagarna ham pe qayāmat sā kuchh guzar jaatā
uThā hī laayā sabhī rāste vo kāñdhoñ par
yaqīn us pe na kartā to maiñ kidhar jaatā
dhanak ke rañg usī ne khurach liye the magar
jo ham na dekhte is baar bhī magar jaatā
safar kā ant lagā maut kī tarah varna
pukārtī thiiñ mujhe manzileñ Thahar jaatā
wo ek chehra jo us se gurez kar jata
to aaina usi dam TuT kar bikhar jata
na jaane kaise bani wo zaban patthar ki
wagarna hum pe qayamat sa kuchh guzar jata
uTha hi laya sabhi raste wo kandhon par
yaqin us pe na karta to main kidhar jata
dhanak ke rang usi ne khurach liye the magar
jo hum na dekhte is bar bhi magar jata
safar ka ant laga maut ki tarah warna
pukarti thin mujhe manzilen Thahar jata
- Book : kushaad (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.