wasl ki raat wo tanha hoga
vasl kī raat vo tanhā hogā
us pe hālāt kā pahra hogā
niiñd kyuuñ TuuT ga.ī āḳhir-e-shab
kaun mere liye taḌpā hogā
ḳhushbueñ phuuT ke roī hoñgī
gul havāoñ meñ jo bikhrā hogā
vādī-e-zehn se uThtā hai dhuāñ
qāfila yādoñ kā Thahrā hogā
jaane kis haal se guzrī hogī
phuul jis shāḳh pe utrā hogā
yaad ā.eñgī hamārī ġhazleñ
zikr jab taaza havā kā hogā
chāñd ko dekh ke chhat par 'anjum'
saaya dīvār se niklā hogā
wasl ki raat wo tanha hoga
us pe haalat ka pahra hoga
nind kyun TuT gai aaKHir-e-shab
kaun mere liye taDpa hoga
KHushbuen phuT ke roi hongi
gul hawaon mein jo bikhra hoga
wadi-e-zehn se uThta hai dhuan
qafila yaadon ka Thahra hoga
jaane kis haal se guzri hogi
phul jis shaKH pe utra hoga
yaad aaengi hamari ghazlen
zikr jab taza hawa ka hoga
chand ko dekh ke chhat par 'anjum'
saya diwar se nikla hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.