waqt ki umr kya baDi hogi
vaqt kī 'umr kyā baḌī hogī
ik tire vasl kī ghaḌī hogī
dastakeñ de rahī hai palkoñ par
koī barsāt kī jhaḌī hogī
kyā ḳhabar thī ki nok-e-ḳhanjar bhī
phuul kī ek pankhuḌī hogī
zulf bal khā rahī hai māthe par
chāñdnī se sabā laḌī hogī
ai 'adam ke musāfiro hushyār
raah meñ zindagī khaḌī hogī
kyuuñ girah gesuoñ meñ Daalī hai
jaañ kisī phuul kī aḌī hogī
iltijā kā malāl kyā kiije
un ke dar par kahīñ paḌī hogī
maut kahte haiñ jis ko ai 'sāġhar'
zindagī kī koī kaḌī hogī
waqt ki 'umr kya baDi hogi
ek tere wasl ki ghaDi hogi
dastaken de rahi hai palkon par
koi barsat ki jhaDi hogi
kya KHabar thi ki nok-e-KHanjar bhi
phul ki ek pankhuDi hogi
zulf bal kha rahi hai mathe par
chandni se saba laDi hogi
ai 'adam ke musafiro hushyar
rah mein zindagi khaDi hogi
kyun girah gesuon mein Dali hai
jaan kisi phul ki aDi hogi
iltija ka malal kya kije
un ke dar par kahin paDi hogi
maut kahte hain jis ko ai 'saghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.