waqt bhi ab mera marham nahin hone pata
vaqt bhī ab mirā marham nahīñ hone paatā
dard kaisā hai jo maddham nahīñ hone paatā
kaifiyat koī mile ham ne sambhālī aise
ġham kabhī ġham se bhī mudġham nahīñ hone paatā
mere alfāz ke ye haath bhī shal hoñ jaise
ho rahā hai jo vo mātam nahīñ hone paatā
dil ke dariyā ne kināroñ se mohabbat kar lī
tez bahtā hai magar kam nahīñ hone paatā
itnā mil letā hai az-rāh-e-takalluf hī sahī
koī mausam mirā mausam nahīñ hone paatā
waqt bhi ab mera marham nahin hone pata
dard kaisa hai jo maddham nahin hone pata
kaifiyat koi mile hum ne sambhaali aise
gham kabhi gham se bhi mudgham nahin hone pata
mere alfaz ke ye hath bhi shal hon jaise
ho raha hai jo wo matam nahin hone pata
dil ke dariya ne kinaron se mohabbat kar li
tez bahta hai magar kam nahin hone pata
itna mil leta hai az-rah-e-takalluf hi sahi
koi mausam mera mausam nahin hone pata
- Book : jalti havaa ka giit (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.