walihana mere dil mein meri jaan mein aa ja
vālihāna mire dil meñ mirī jaañ meñ aa jā
mere īmāñ meñ mire vahm-o-gumāñ meñ aa jā
muuñd in āñkhoñ ko sāhab nazrāñ meñ aa jā
hadd-e-nazārgī-e-kaun-o-makāñ meñ aa jā
āyat-e-rahmat-e-yazdāñ kī tarah dil meñ utar
ek ik lafz meñ ek ek bayāñ meñ aa jā
tujhe siine se lagā luuñ tujhe dil meñ rakh luuñ
dard kī chhāñv meñ zaḳhmoñ kī amaañ meñ aa jā
kuchh to īmā-e-karam ho nigah-e-zaḳhm-navāz
ab ke abrū-e-kashīda kī kamāñ meñ aa jā
raunaq-e-jāñ na sahī sūrat-e-āseb sahī
mere ujḌe hue tārīk makāñ meñ aa jā
hai tamannā-e-sukūñ dil ko to 'qaisī' kī tarah
halqa-e-dard-e-mohabbat-zadagāñ meñ aa jā
walihana mere dil mein meri jaan mein aa ja
mere iman mein mere wahm-o-guman mein aa ja
mund in aankhon ko sahab nazran mein aa ja
hadd-e-nazargi-e-kaun-o-makan mein aa ja
aayat-e-rahmat-e-yazdan ki tarah dil mein utar
ek ek lafz mein ek ek bayan mein aa ja
tujhe sine se laga lun tujhe dil mein rakh lun
dard ki chhanw mein zaKHmon ki aman mein aa ja
kuchh to ima-e-karam ho nigah-e-zaKHm-nawaz
ab ke abru-e-kashida ki kaman mein aa ja
raunaq-e-jaan na sahi surat-e-aseb sahi
mere ujDe hue tarik makan mein aa ja
hai tamanna-e-sukun dil ko to 'qaisi' ki tarah
halqa-e-dard-e-mohabbat-zadagan mein aa ja
- Book : Sher-o-Hikmat (Pg. 869)
- Author : Shahryar, Mughni, Tabassum
- Publication : Maktaba-e-Sher-O-Hikmat (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.