utar kar paniyon mein chand mahw-e-raqs rahta hai
utar kar pāniyoñ meñ chāñd mahv-e-raqs rahtā hai
mirī āñkhoñ meñ kuchh is taur koī shaḳhs rahtā hai
'ajab hairat hai aksar dekhtā hai mere chehre ko
ye kis nā-āshnā kā aa.ine meñ 'aks rahtā hai
mirī bastī kā koī ghar bhī ghar jaisā nahīñ lagtā
kahīñ ta.amīr-e-bām-o-dar meñ koī naqs rahtā hai
jamī hai gard āñkhoñ meñ ka.ī gumnām barsoñ kī
mire andar na jaane kaun būḌhā shaḳhs rahtā hai
chalo bād-e-sabā ko jañgaloñ se DhūñDh kar laa.eñ
fasīl-e-shahr meñ 'az.har' balā kā habs rahtā hai
utar kar paniyon mein chand mahw-e-raqs rahta hai
meri aankhon mein kuchh is taur koi shaKHs rahta hai
'ajab hairat hai aksar dekhta hai mere chehre ko
ye kis na-ashna ka aaine mein 'aks rahta hai
meri basti ka koi ghar bhi ghar jaisa nahin lagta
kahin tamir-e-baam-o-dar mein koi naqs rahta hai
jami hai gard aankhon mein kai gumnam barson ki
mere andar na jaane kaun buDha shaKHs rahta hai
chalo baad-e-saba ko jangalon se DhunDh kar laen
fasil-e-shahr mein 'azhar' bala ka habs rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.