tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae
tū ġhazal ban ke utar baat mukammal ho jaa.e
muntazir dil kī munājāt mukammal ho jaa.e
umr bhar milte rahe phir bhī na milne paa.e
is tarah mil ki mulāqāt mukammal ho jaa.e
din meñ bikhrā huuñ bahut raat sameTegī mujhe
tū bhī aa jā to mirī zaat mukammal ho jaa.e
niind ban kar mirī āñkhoñ se mire ḳhuuñ meñ utar
rat-jagā ḳhatm ho aur raat mukammal ho jaa.e
maiñ sarāpā huuñ duā tū mirā maqsūd-e-duā
baat yuuñ kar ki mirī baat mukammal ho jaa.e
abr āñkhoñ se uThe haiñ tirā dāman mil jaa.e
hukm ho terā to barsāt mukammal ho jaa.e
tire siine se mire siine meñ āyāt utreñ
sūra-e-kashf-o-karāmāt mukammal ho jaa.e
tere lab mohr lagā deñ to ye qissa ho tamām
daftar-e-tūl-e-shikāyāt mukammal ho jaa.e
tujh ko paa.e to 'vahīd' apne ḳhudā ko pā le
kāvish-e-ma.arfat-e-zāt mukammal ho jaa.e
tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae
muntazir dil ki munajat mukammal ho jae
umr bhar milte rahe phir bhi na milne pae
is tarah mil ki mulaqat mukammal ho jae
din mein bikhra hun bahut raat sameTegi mujhe
tu bhi aa ja to meri zat mukammal ho jae
nind ban kar meri aankhon se mere KHun mein utar
rat-jaga KHatm ho aur raat mukammal ho jae
main sarapa hun dua tu mera maqsud-e-dua
baat yun kar ki meri baat mukammal ho jae
abr aankhon se uThe hain tera daman mil jae
hukm ho tera to barsat mukammal ho jae
tere sine se mere sine mein aayat utren
sura-e-kashf-o-karamat mukammal ho jae
tere lab mohr laga den to ye qissa ho tamam
daftar-e-tul-e-shikayat mukammal ho jae
tujh ko pae to 'wahid' apne KHuda ko pa le
kawish-e-marfat-e-zat mukammal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.