tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai
tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai
Moghisuddin Fareedi
MORE BYMoghisuddin Fareedi
tū apne pindār kī ḳhabar le ki ruḳh havā kā badal rahā hai
tirī nazar se bahakne vaalā fareb khā kar sañbhal rahā hai
yahī hai dastūr-e-shahr-e-hastī ki jo nayā hai vahī purānā
hayāt añgḌā.ī le rahī hai zamāna karvaT badal rahā hai
rah-e-talab meñ junūñ ne aksar shu'ūr ko ā.īna dikhāyā
jise thā uzr-e-shikasta-pā.ī vo ab sitāroñ pe chal rahā hai
hameñ ye tā'ne na do ki ham ne zamāna-sāzī ke gur na sīkhe
ki rafta rafta mizāj-e-duniyā hamāre sāñche meñ Dhal rahā hai
tirī adāoñ kī sādgī meñ kisī ko mahsūs bhī na hogā
abhī qayāmat kā ik karishma hayā ke dāman meñ pal rahā hai
kisī meñ himmat na thī ki baḌh kar junūñ kī zanjīr thaam letā
ḳhirad kī bastī meñ hai añdherā charāġh sahrā meñ jal rahā hai
hazār sheve the guftugū ke hazār andāz the suḳhan ke
magar ba-īmā-e-dil 'farīdī' fidā-e-rañg-e-ġhazal rahā hai
tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai
teri nazar se bahakne wala fareb kha kar sanbhal raha hai
yahi hai dastur-e-shahr-e-hasti ki jo naya hai wahi purana
hayat angDai le rahi hai zamana karwaT badal raha hai
rah-e-talab mein junun ne aksar shu'ur ko aaina dikhaya
jise tha uzr-e-shikasta-pai wo ab sitaron pe chal raha hai
hamein ye ta'ne na do ki hum ne zamana-sazi ke gur na sikhe
ki rafta rafta mizaj-e-duniya hamare sanche mein Dhal raha hai
teri adaon ki sadgi mein kisi ko mahsus bhi na hoga
abhi qayamat ka ek karishma haya ke daman mein pal raha hai
kisi mein himmat na thi ki baDh kar junun ki zanjir tham leta
KHirad ki basti mein hai andhera charagh sahra mein jal raha hai
hazar shewe the guftugu ke hazar andaz the suKHan ke
magar ba-ima-e-dil 'faridi' fida-e-rang-e-ghazal raha hai
- Book : Kufr-e-tamanna (Pg. 41)
- Author : Mugheesuddeen Faeeidi
- Publication : Maktaba Jamia LTD in Jamia Nagar, Delhi (1987)
- Edition : 1987
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.