tum mil gae to koi gila ab nahin raha
tum mil ga.e to koī gila ab nahīñ rahā
maiñ apnī zindagī se ḳhafā ab nahīñ rahā
pahle mirī nigāh meñ duniyā haqīr thī
maiñ apne sāthiyoñ se judā ab nahīñ rahā
ab bhī usī daraḳht ke nīche mileñge ham
saaya agarche us kā ghanā ab nahīñ rahā
tere qadam ne jaan kahānī meñ Daal dī
qissa hamārā be-sar-o-pā ab nahīñ rahā
ab merī apne āḳhirī dushman se jañg hai
maidāñ meñ koī mere sivā ab nahīñ rahā
ham ko usī dayār kī miTTī huī aziiz
naqshe meñ jis kā nām-pata ab nahīñ rahā
tum mil gae to koi gila ab nahin raha
main apni zindagi se KHafa ab nahin raha
pahle meri nigah mein duniya haqir thi
main apne sathiyon se juda ab nahin raha
ab bhi usi daraKHt ke niche milenge hum
saya agarche us ka ghana ab nahin raha
tere qadam ne jaan kahani mein Dal di
qissa hamara be-sar-o-pa ab nahin raha
ab meri apne aaKHiri dushman se jang hai
maidan mein koi mere siwa ab nahin raha
hum ko usi dayar ki miTTi hui aziz
naqshe mein jis ka nam-pata ab nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.