tujh mein kitna gum hun aur kitna nazar aata hun main
tujh meñ kitnā gum huuñ aur kitnā nazar aatā huuñ maiñ
aatā jaatā ā.inoñ ko muñh dikhā jaatā huuñ maiñ
us ke ba.ad aglī qayāmat kyā hai kis ko hosh hai
zaḳhm sahlātā thā aur ab daaġh dikhlātā huuñ maiñ
naqsh-bar-dīvār huuñ aur baat kar saktā nahīñ
aisī hālat meñ bhī jo kahtā huuñ manvātā huuñ maiñ
ḳhāksārī hī nahīñ ye ġham-gusārī bhī to hai
paañv rakhtā huuñ jahāñ miTTī uThā laatā huuñ maiñ
harf ke āvāza-e-āḳhir ko kar detā huuñ nazm
sher kyā kahtā huuñ ḳhāmoshī ko phailtā huuñ maiñ
din Dhale kuchh der Dhal jaatā bhī huuñ sūraj ke saath
shaam hote hī charāġhoñ se ubhar aatā huuñ maiñ
tujh mein kitna gum hun aur kitna nazar aata hun main
aata jata aainon ko munh dikha jata hun main
us ke baad agli qayamat kya hai kis ko hosh hai
zaKHm sahlata tha aur ab dagh dikhlata hun main
naqsh-bar-diwar hun aur baat kar sakta nahin
aisi haalat mein bhi jo kahta hun manwata hun main
KHaksari hi nahin ye gham-gusari bhi to hai
panw rakhta hun jahan miTTi uTha lata hun main
harf ke aawaza-e-aKHir ko kar deta hun nazm
sher kya kahta hun KHamoshi ko phailta hun main
din Dhale kuchh der Dhal jata bhi hun suraj ke sath
sham hote hi charaghon se ubhar aata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.