tughyani se Dar jata hun
tuġhyānī se Dar jaatā huuñ
jism ke paar utar jaatā huuñ
āvāzoñ meñ bahte bahte
ḳhāmoshī se mar jaatā huuñ
band hī miltā hai darvāza
raat ga.e jab ghar jaatā huuñ
niind adhūrī rah jaatī hai
sote sote Dar jaatā huuñ
chāhe baad meñ maan bhī jā.ūñ
pahlī baar mukar jaatā huuñ
thoḌī sī bārish hotī hai
kitnī jaldī bhar jaatā huuñ
kitne dinoñ kī dahlīzoñ se
raat ke saath guzar jaatā huuñ
tughyani se Dar jata hun
jism ke par utar jata hun
aawazon mein bahte bahte
KHamoshi se mar jata hun
band hi milta hai darwaza
raat gae jab ghar jata hun
nind adhuri rah jati hai
sote sote Dar jata hun
chahe baad mein man bhi jaun
pahli bar mukar jata hun
thoDi si barish hoti hai
kitni jaldi bhar jata hun
kitne dinon ki dahlizon se
raat ke sath guzar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.