teri talash mein nikla to rasta hua main
tirī talāsh meñ niklā to rāstā huā maiñ
so tere paañv meñ huuñ raah dekhtā huā maiñ
chaTaḳh rahā huuñ to ab is meñ kyā ta.ajjub hai
ḳhud apne bojh tale hī rahā dabā huā maiñ
kahīñ khiñchā rahā duniyā se misl-e-dast-e-faqīr
misāl-e-dast-e-tamannā kahīñ baḌhā huā maiñ
ajiib qaid thī jis meñ bahut ḳhushī thī mujhe
ab ashk thamte nahīñ haiñ ye kyā rihā huā maiñ
ye dekh ġhaur se pahchān apnī kārīgarī
ki tere chaak se utrā thā kal banā huā maiñ
bas ek choT lagī thī ki band TuuT gayā
aur apnā-āp bahā le gayā thamā huā maiñ
zamāne dekhte haiñ kitnī der chaltī hai
bahut Datā huā tū hai bahut jamā huā maiñ
teri talash mein nikla to rasta hua main
so tere panw mein hun rah dekhta hua main
chaTaKH raha hun to ab is mein kya tajjub hai
KHud apne bojh tale hi raha daba hua main
kahin khincha raha duniya se misl-e-dast-e-faqir
misal-e-dast-e-tamanna kahin baDha hua main
ajib qaid thi jis mein bahut KHushi thi mujhe
ab ashk thamte nahin hain ye kya riha hua main
ye dekh ghaur se pahchan apni karigari
ki tere chaak se utra tha kal bana hua main
bas ek choT lagi thi ki band TuT gaya
aur apna-ap baha le gaya thama hua main
zamane dekhte hain kitni der chalti hai
bahut Data hua tu hai bahut jama hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.