tirgi taq mein jaDi hui hai
tīrgī taaq meñ jaḌī huī hai
dhuup dahlīz par paḌī huī hai
dil pe nākāmiyoñ ke haiñ paivand
aas kī soī bhī gaḌī huī hai
mere jaisī hai merī parchhā.īñ
dhuup meñ pal ke ye baḌī huī hai
gher rakkhā hai nā-rasā.ī ne
aur ḳhvāhish vahīñ khaḌī huī hai
maiñ ne tasvīr pheñk dī hai magar
kiil dīvār meñ gaḌī huī hai
hārtā bhī nahīñ ġham-e-daurāñ
zid pe ummīd bhī aḌī huī hai
dil kisī ke ḳhayāl meñ hai gum
raat ko ḳhvāb kī paḌī huī hai
tirgi taq mein jaDi hui hai
dhup dahliz par paDi hui hai
dil pe nakaamiyon ke hain paiwand
aas ki soi bhi gaDi hui hai
mere jaisi hai meri parchhain
dhup mein pal ke ye baDi hui hai
gher rakkha hai na-rasai ne
aur KHwahish wahin khaDi hui hai
main ne taswir phenk di hai magar
kil diwar mein gaDi hui hai
haarta bhi nahin gham-e-dauran
zid pe ummid bhi aDi hui hai
dil kisi ke KHayal mein hai gum
raat ko KHwab ki paDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.