Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

Sahar Ansari

tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

Sahar Ansari

MORE BYSahar Ansari

    tañg aate bhī nahīñ kashmakash-e-dahr se log

    kyā tamāshā hai ki marte bhī nahīñ zahr se log

    shahr meñ aa.e the sahrā fazā se thak kar

    ab kahāñ jā.eñge āseb-zada shahr se log

    naḳhl-e-hastī nazar aa.egā kabhī naḳhl-e-salīb

    ziist faal nikāleñge kabhī zahr se log

    ham ko jannat fazā se bhī ziyāda hai aziiz

    yahī be-rañg duniyā yahī be-mehr se log

    mutma.in rahte haiñ tūfān-e-masā.ib meñ kabhī

    Duub jaate haiñ kabhī dard ik lahr se log

    ai zamīñ aaj bhī zarre haiñ tire mahr-tarāsh

    ai falak aaj bhī laḌte haiñ tire qahr se log

    sirf mahrūmī-e-farhād kyā zikr 'sahar'

    be-sutūñ kaaT ke mahrūm rahe nahr se log

    tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

    kya tamasha hai ki marte bhi nahin zahr se log

    shahr mein aae the sahra ki faza se thak kar

    ab kahan jaenge aaseb-zada shahr se log

    naKHl-e-hasti nazar aaega kabhi naKHl-e-salib

    zist ki fal nikalenge kabhi zahr se log

    hum ko jannat ki faza se bhi ziyaada hai aziz

    yahi be-rang si duniya yahi be-mehr se log

    mutmain rahte hain tufan-e-masaib mein kabhi

    Dub jate hain kabhi dard ki ek lahr se log

    ai zamin aaj bhi zarre hain tere mahr-tarash

    ai falak aaj bhi laDte hain tere qahr se log

    sirf mahrumi-e-farhad ka kya zikr 'sahar'

    be-sutun kaT ke mahrum rahe nahr se log

    Source :
    • Book : namuud (Pg. 181)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now