tamam rang hawa ho gae kahani se
tamām rañg havā ho ga.e kahānī se
zamīn kaañp rahī hai utarte paanī se
vo ik parinda-e-ātish jo aag piitā thā
asiir ho gayā apnī hī ḳhush-bayānī se
shikār chhup ga.e apnī panāh-gāhoñ meñ
kamān TuuT ga.ī us kī khīñchā-tānī se
jo khel khel rahe the havāoñ kī shah par
vo khel ḳhatm huā marg-e-nā-gahānī se
ḳhud apne aap se larzāñ rahī ulajhtī rahī
uThā na bār-e-garāñ raat kī javānī se
varaq varaq pe chalā tesha-e-qalam lekin
na koī lafz judā ho sakā ma.ānī se
tamam rang hawa ho gae kahani se
zamin kanp rahi hai utarte pani se
wo ek parinda-e-atish jo aag pita tha
asir ho gaya apni hi KHush-bayani se
shikar chhup gae apni panah-gahon mein
kaman TuT gai us ki khincha-tani se
jo khel khel rahe the hawaon ki shah par
wo khel KHatm hua marg-e-na-gahani se
KHud apne aap se larzan rahi ulajhti rahi
uTha na bar-e-garan raat ki jawani se
waraq waraq pe chala tesha-e-qalam lekin
na koi lafz juda ho saka maani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.