tamam dard kisi lai mein gungunate hue
tamām dard kisī lai meñ gungunāte hue
vo kho gayā kahīñ shiv-ranjinī sunāte hue
qusūr vaqt kā lailā kā thā na duniyā kā
vo qais thā jo rahā bār-e-jāñ uThāte hue
hamīñ ne chaar girah rañg rakh diyā dar par
hamīñ ne yaad kiyā ḳhushbuoñ ko jaate hue
dhueñ meñ ho ga.ī tabdīl rang-o-bū kho kar
bayār sabz banoñ se nagar ko aate hue
ai zindagī kabhī inkār kā sabab bhī sun
maiñ thak gayā huuñ terī haañ meñ haañ milāte hue
tamam dard kisi lai mein gungunate hue
wo kho gaya kahin shiw-ranjini sunate hue
qusur waqt ka laila ka tha na duniya ka
wo qais tha jo raha bar-e-jaan uThate hue
hamin ne chaar girah rang rakh diya dar par
hamin ne yaad kiya KHushbuon ko jate hue
dhuen mein ho gai tabdil rang-o-bu kho kar
bayar sabz banon se nagar ko aate hue
ai zindagi kabhi inkar ka sabab bhi sun
main thak gaya hun teri han mein han milate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.