taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah
taaza hai us kī mahak raat kī raanī kī tarah
kisī bichhḌe hue lamhe kī nishānī kī tarah
jitnā dekho use thaktī nahīñ āñkheñ varna
ḳhatm ho jaatā hai har husn kahānī kī tarah
reg-e-sahrā kā ajab rañg havāoñ ne kiyā
naqsh sā khiñch gayā dariyā kī ravānī kī tarah
yuuñ guzartā hai vo katrā ke navāh-e-dil se
jaise ye ḳhaak kā ḳhitta bhī ho paanī kī tarah
mujh se kyā kuchh na sabā kah ke ga.ī hai ai 'zeb'
chand hī lafzoñ meñ paiġhām-e-zabānī kī tarah
taza hai us ki mahak raat ki rani ki tarah
kisi bichhDe hue lamhe ki nishani ki tarah
jitna dekho use thakti nahin aankhen warna
KHatm ho jata hai har husn kahani ki tarah
reg-e-sahra ka ajab rang hawaon ne kiya
naqsh sa khinch gaya dariya ki rawani ki tarah
yun guzarta hai wo katra ke nawah-e-dil se
jaise ye KHak ka KHitta bhi ho pani ki tarah
mujh se kya kuchh na saba kah ke gai hai ai 'zeb'
chand hi lafzon mein paigham-e-zabani ki tarah
- Book : zartaab (Pg. 214)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.