talluqat ki garmi na etibar ki dhup
ta.alluqāt kī garmī na e'tibār kī dhuup
jhulas rahī hai zamāne ko intishār kī dhuup
ġham-e-hayāt ke saa.e muhīb haiñ varna
kise pasand nahīñ hai ḳhayāl-e-yār kī dhuup
abhī se amn kī ThanDak talāsh karte ho
abhī to chamkī hai yaaro salīb-o-dār kī dhuup
alam kī rāhguzar par bahut hī kaam aa.iiñ
tumhārī yaad kī sham.eñ hamāre pyaar kī dhuup
kamand Daal deñ sūraj pe aao mil-jul kar
ab aur tez na hone deñ rozgār kī dhuup
laboñ pe mohr jigar ḳhūñ-chakāñ nazar hairāñ
ab aur kaise jalā.egī ye bahār kī dhuup
tumhāre shahr kī shaidā-ba-dast yādoñ ko
talāsh kartī rahī dil ke kohsār kī dhuup
bahut qarīb haiñ saa.e hayāt-e-nau ke 'umīd'
bahut hī jald Dhalegī ab intizār kī dhuup
talluqat ki garmi na e'tibar ki dhup
jhulas rahi hai zamane ko intishaar ki dhup
gham-e-hayat ke sae muhib hain warna
kise pasand nahin hai KHayal-e-yar ki dhup
abhi se amn ki ThanDak talash karte ho
abhi to chamki hai yaro salib-o-dar ki dhup
alam ki rahguzar par bahut hi kaam aain
tumhaari yaad ki shamen hamare pyar ki dhup
kamand Dal den suraj pe aao mil-jul kar
ab aur tez na hone den rozgar ki dhup
labon pe mohr jigar KHun-chakan nazar hairan
ab aur kaise jalaegi ye bahaar ki dhup
tumhaare shahr ki shaida-ba-dast yaadon ko
talash karti rahi dil ke kohsar ki dhup
bahut qarib hain sae hayat-e-nau ke 'umid'
bahut hi jald Dhalegi ab intizar ki dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.