sawad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota
savād-e-ġham ho yā bazm-e-tarab kuchh bhī nahīñ hotā
zabāñ marham rakkhe yā zaḳhm ab kuchh bhī nahīñ hotā
chale aate haiñ be-mausam kī bārish kī tarah aañsū
basā-auqāt rone kā sabab kuchh bhī nahīñ hotā
jo hotā hai to bas itnā ki lafzoñ kā bharam TuuTe
suḳhan aatā hai aksar tā-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī the mehrbāñ mausam kabhī sāvan barastā thā
aur ab dhartī hai saarī tishna-lab kuchh bhī nahīñ hotā
tamannā jhāñktī hai rauzan-e-zindāñ se chhup chhup kar
asīrī meñ magar anjām-e-shab kuchh bhī nahīñ hotā
qayāmat sī guzartī hai qayāmat aa nahīñ jaatī
koī be-jān ho yā jāñ-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā
jibillat sar uThā le to ḳhas-o-ḳhāshāk hai insāñ
baḌā ho naam yā ūñchā nasab kuchh bhī nahīñ hotā
yahāñ hotā hai ba.ad-az-marg vāvailā bahut lekin
koī mar mar ke jab jiitā ho tab kuchh bhī nahīñ hotā
ye duniyā hai yahāñ tārīḳh hī dohrā.ī jaatī hai
anokhā kuchh nahīñ hotā 'ajab kuchh bhī nahīñ hotā
sawad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota
zaban marham rakkhe ya zaKHm ab kuchh bhi nahin hota
chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu
basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota
jo hota hai to bas itna ki lafzon ka bharam TuTe
suKHan aata hai aksar ta-ba-lab kuchh bhi nahin hota
kabhi the mehrban mausam kabhi sawan barasta tha
aur ab dharti hai sari tishna-lab kuchh bhi nahin hota
tamanna jhankti hai rauzan-e-zindan se chhup chhup kar
asiri mein magar anjam-e-shab kuchh bhi nahin hota
qayamat si guzarti hai qayamat aa nahin jati
koi be-jaan ho ya jaan-ba-lab kuchh bhi nahin hota
jibillat sar uTha le to KHas-o-KHashak hai insan
baDa ho nam ya uncha nasab kuchh bhi nahin hota
yahan hota hai baad-az-marg wawaila bahut lekin
koi mar mar ke jab jita ho tab kuchh bhi nahin hota
ye duniya hai yahan tariKH hi dohrai jati hai
anokha kuchh nahin hota 'ajab kuchh bhi nahin hota
- Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.