suraj zamin ki kokh se bahar bhi aaega
sūraj zamīñ kī kokh se bāhar bhī aa.egā
huuñ muntazir ki sub.h kā manzar bhī aa.egā
miTTī kā jism le ke chale ho to soch lo
is rāste meñ ek samundar bhī aa.egā
har lahza us ke paañv kī aahaT pe kaan rakh
darvāze tak jo aayā hai andar bhī aa.egā
kab tak yūñhī zamīn se lipTe raheñ qadam
ye zo.am hai ki koī palaT kar bhī aa.egā
dekhā na thā kabhī mirī āñkhoñ ne ā.īna
ehsās bhī na thā ki mujhe Dar bhī aa.egā
patthar ke saath bāñdh ke dariyā meñ Dāliye
varna ye jism Duub ke uupar bhī aa.egā
'shāhid' bajā ye zo.am ki gauhar-shanās ho
ye soch lo ki haath meñ patthar bhī aa.egā
suraj zamin ki kokh se bahar bhi aaega
hun muntazir ki subh ka manzar bhi aaega
miTTi ka jism le ke chale ho to soch lo
is raste mein ek samundar bhi aaega
har lahza us ke panw ki aahaT pe kan rakh
darwaze tak jo aaya hai andar bhi aaega
kab tak yunhi zamin se lipTe rahen qadam
ye zoam hai ki koi palaT kar bhi aaega
dekha na tha kabhi meri aankhon ne aaina
ehsas bhi na tha ki mujhe Dar bhi aaega
patthar ke sath bandh ke dariya mein Daliye
warna ye jism Dub ke upar bhi aaega
'shahid' baja ye zoam ki gauhar-shanas ho
ye soch lo ki hath mein patthar bhi aaega
- Book : Subh-e-safar (Pg. 47)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.