suraj ki kiran ka shoabada hai
sūraj kī kiran kā sho.abada hai
rañg-e-ruḳh-e-zard uḌ gayā hai
naqsh-e-kaf-e-pā ne gul khilā.e
vīrāñ kahāñ ab ye rāsta hai
jaag uTThī haiñ zindagī kī rāheñ
shāyad koī chāñd ko gayā hai
sholoñ se huā thā baaġh ḳhālī
phir sīna-e-gul bhaḌak uThā hai
patte patte kā rañg badlā
badlī badlī huī fazā hai
pahle to na yuuñ kabhī huā thā
tū bhī mujhe dekh kar hañsā hai
begānagī ne ye raaz kholā
tū merā azal se āshnā hai
shabnam sar-e-nok-e-ḳhār yaanī
lab pe mire harf-e-mudda.ā hai
har dard nahīñ davā kā muhtāj
yuuñ bhī to ilāj-e-ġham huā hai
terā hī rahegā bol-bālā
dil merā abas dhaḌak rahā hai
suraj ki kiran ka shoabada hai
rang-e-ruKH-e-zard uD gaya hai
naqsh-e-kaf-e-pa ne gul khilae
viran kahan ab ye rasta hai
jag uTThi hain zindagi ki rahen
shayad koi chand ko gaya hai
sholon se hua tha bagh KHali
phir sina-e-gul bhaDak uTha hai
patte patte ka rang badla
badli badli hui faza hai
pahle to na yun kabhi hua tha
tu bhi mujhe dekh kar hansa hai
beganagi ne ye raaz khola
tu mera azal se aashna hai
shabnam sar-e-nok-e-KHar yani
lab pe mere harf-e-muddaa hai
har dard nahin dawa ka muhtaj
yun bhi to ilaj-e-gham hua hai
tera hi rahega bol-baala
dil mera abas dhaDak raha hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 308)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.