suna hai usne KHizan ko bahaar karna hai
sunā hai us ne ḳhizāñ ko bahār karnā hai
ye jhuuT to hai magar e'tibār karnā hai
ye aur baat mulāqāt ho na ho lekin
qayāmatoñ kā hameñ intizār karnā hai
mohabbatoñ ko bhī us ne ḳhatā qarār diyā
magar ye jurm hameñ baar baar karnā hai
har ek baar ye sochā ki ab kī baar us ne
na jaane kaun sā Dhañg iḳhtiyār karnā hai
tum apnā chāñd ḳhushī se tamām shab dekho
hamārā kaam sitāre shumār karnā hai
suna hai us ne KHizan ko bahaar karna hai
ye jhuT to hai magar e'tibar karna hai
ye aur baat mulaqat ho na ho lekin
qayamaton ka hamein intizar karna hai
mohabbaton ko bhi us ne KHata qarar diya
magar ye jurm hamein bar bar karna hai
har ek bar ye socha ki ab ki bar us ne
na jaane kaun sa Dhang iKHtiyar karna hai
tum apna chand KHushi se tamam shab dekho
hamara kaam sitare shumar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.