suna hai is taraf ka ruKH karenge
sunā hai is taraf kā ruḳh kareñge
tire dushman mirī jānib baḌheñge
kisī se kuchh na pūchhā kuchh na jaanā
ye dhabbe ḳhuun ke kaise dhuleñge
bahut haiñ chaar din ye zindagī ke
kabhī ran meñ kabhī ghar meñ raheñge
masīhāoñ ko ab zahmat na hogī
ham un ke aate aate mar chukeñge
kahāñ jaate haiñ ghabrā.e hue log
ki sahrā meñ to dīvāne raheñge
abhī marne kī jaldī hai 'ibādī'
agar zinda rahe to phir mileñge
suna hai is taraf ka ruKH karenge
tere dushman meri jaanib baDhenge
kisi se kuchh na puchha kuchh na jaana
ye dhabbe KHun ke kaise dhulenge
bahut hain chaar din ye zindagi ke
kabhi ran mein kabhi ghar mein rahenge
masihaon ko ab zahmat na hogi
hum un ke aate aate mar chukenge
kahan jate hain ghabrae hue log
ki sahra mein to diwane rahenge
abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'
agar zinda rahe to phir milenge
- Book : khush ahjaar (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.