sun ke furqat chup hua aisa ki murda ho gaya
sun ke furqat chup huā aisā ki murdā ho gayā
pūchhtā hai yaar ro ro kar tujhe kyā ho gayā
dekh kar chashm-e-siyāh-e-māh-rū vahshat huī
chāñdnī meñ us hiran kā rañg kaalā ho gayā
kar diyā abrū ne do TukḌe ba-rañg-e-zulfiqār
ek hī talvār meñ saarī kā aadhā ho gayā
kyā diyā bosa lab-e-shīrīñ kā ho kar tursh-rū
muñh huā mīThā to kyā dil apnā khaTTā ho gayā
muñh jo us yūsuf ne pherā ho ga.e be-kār sab
dīda-e-yāqūb chāh-e-ā.ina andhā ho gayā
dil jo taḌpā daaġh se raushan jahān-e-dil huā
barq jab chamkī añdhere meñ ujālā ho gayā
'arsh' us kī sard-mehrī tā-dam-e-āḳhir rahī
dil huā ThanDā na saarā jism ThanDā ho gayā
sun ke furqat chup hua aisa ki murda ho gaya
puchhta hai yar ro ro kar tujhe kya ho gaya
dekh kar chashm-e-siyah-e-mah-ru wahshat hui
chandni mein us hiran ka rang kala ho gaya
kar diya abru ne do TukDe ba-rang-e-zulfiqar
ek hi talwar mein sari ka aadha ho gaya
kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru
munh hua miTha to kya dil apna khaTTa ho gaya
munh jo us yusuf ne phera ho gae be-kar sab
dida-e-yaqub chah-e-aina andha ho gaya
dil jo taDpa dagh se raushan jahan-e-dil hua
barq jab chamki andhere mein ujala ho gaya
'arsh' us ki sard-mehri ta-dam-e-aKHir rahi
dil hua ThanDa na sara jism ThanDa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.