shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai
shahr-e-suḳhan ajiib ho gayā hai
nāqid yahāñ adiib ho gayā hai
jhuuT in dinoñ udaas hai ki sach bhī
parvarda-e-salīb ho gayā hai
garmī se phir badan pighal rahe haiñ
shāyad koī qarīb ho gayā hai
ābādiyoñ meñ Duub kar mirā dil
jañgal se bhī muhīb ho gayā hai
kyā kyā gile nahīñ use vatan se
'yāvar' kahāñ ġharīb ho gayā hai
shahr-e-suKHan ajib ho gaya hai
naqid yahan adib ho gaya hai
jhuT in dinon udas hai ki sach bhi
parwarda-e-salib ho gaya hai
garmi se phir badan pighal rahe hain
shayad koi qarib ho gaya hai
aabaadiyon mein Dub kar mera dil
jangal se bhi muhib ho gaya hai
kya kya gile nahin use watan se
'yawar' kahan gharib ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.