shayad ki mar gaya mere andar ka aadmi
shāyad ki mar gayā mire andar kā aadmī
āñkheñ dikhā rahā hai barābar kā aadmī
sūraj sitāre koh o samundar falak zamīñ
sab ek kar chukā hai ye gaz bhar kā aadmī
āvāz aa.ī pīchhe palaT kar to dekhiye
pīchhe palaT ke dekhā to patthar kā aadmī
is ghar kā telephone abhī jaag jā.egā
sāhab ko le ke chal diyā daftar kā aadmī
zarre se kam-bisāt pe sūraj-nigāhiyāñ
'ḳhālid' bhī apnā hai to muqaddar kā aadmī
shayad ki mar gaya mere andar ka aadmi
aankhen dikha raha hai barabar ka aadmi
suraj sitare koh o samundar falak zamin
sab ek kar chuka hai ye gaz bhar ka aadmi
aawaz aai pichhe palaT kar to dekhiye
pichhe palaT ke dekha to patthar ka aadmi
is ghar ka telephone abhi jag jaega
sahab ko le ke chal diya daftar ka aadmi
zarre se kam-bisat pe suraj-nigahiyan
'KHalid' bhi apna hai to muqaddar ka aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.