shayad abhi kami si masihaiyon mein hai
shāyad abhī kamī sī masīhā.iyoñ meñ hai
jo dard hai vo ruuh kī gahrā.iyoñ meñ hai
jis ko kabhī ḳhayāl kā paikar na mil sakā
vo aks mere zehn kī rānā.iyoñ meñ hai
kal tak to zindagī thī tamāshā banī huī
aur aaj zindagī bhī tamāshā.iyoñ meñ hai
hai kis liye ye vus.at-e-dāmān-e-iltifāt
dil kā sukūn to inhī tanhā.iyoñ meñ hai
ye dasht-e-ārzū hai yahāñ ek ek dil
tujh ko ḳhabar bhī hai tire saudā.iyoñ meñ hai
tanhā nahīñ hai ai shab-e-giryāñ diye kī lau
yādoñ kī ek shaam bhī parchhā.iyoñ meñ hai
'gulnār' maslahat kī zabāñ meñ na baat kar
vo zahr pī ke dekh jo sachchā.iyoñ meñ hai
shayad abhi kami si masihaiyon mein hai
jo dard hai wo ruh ki gahraiyon mein hai
jis ko kabhi KHayal ka paikar na mil saka
wo aks mere zehn ki ranaiyon mein hai
kal tak to zindagi thi tamasha bani hui
aur aaj zindagi bhi tamashaiyon mein hai
hai kis liye ye wusat-e-daman-e-iltifat
dil ka sukun to inhi tanhaiyon mein hai
ye dasht-e-arzu hai yahan ek ek dil
tujh ko KHabar bhi hai tere saudaiyon mein hai
tanha nahin hai ai shab-e-giryan diye ki lau
yaadon ki ek sham bhi parchhaiyon mein hai
'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar
wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.