sham ke aasar gile hain bahut
shaam ke āsār giile haiñ bahut
phir mirī āñkhoñ meñ tiile haiñ bahut
tum se milne kā bahāna tak nahīñ
aur bichhaḌ jaane ke hiile haiñ bahut
kisht-e-jāñ ko ḳhushk-sālī khā ga.ī
mausamoñ ke rañg piile haiñ bahut
barf pighlī hai farāz-e-arsh se
āsmāñ ke rañg niile haiñ bahut
bel kī sūrat haiñ ham phaile hue
ham faqīroñ ke vasīle haiñ bahut
maiñ bhī apnī zaat meñ ābād huuñ
mere andar bhī qabīle haiñ bahut
log bastī ke bhī haiñ shīrīñ-sifat
mere naġhme bhī rasīle haiñ bahut
'qais' ham jogī haiñ apne shahr ke
naag to ham ne bhī kiile haiñ bahut
sham ke aasar gile hain bahut
phir meri aankhon mein tile hain bahut
tum se milne ka bahana tak nahin
aur bichhaD jaane ke hile hain bahut
kisht-e-jaan ko KHushk-sali kha gai
mausamon ke rang pile hain bahut
barf pighli hai faraaz-e-arsh se
aasman ke rang nile hain bahut
bel ki surat hain hum phaile hue
hum faqiron ke wasile hain bahut
main bhi apni zat mein aabaad hun
mere andar bhi qabile hain bahut
log basti ke bhi hain shirin-sifat
mere naghme bhi rasile hain bahut
'qais' hum jogi hain apne shahr ke
nag to hum ne bhi kile hain bahut
- Book : Aks Padta Hai Chaand ka (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.