sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti
sar chhupāne ke liye chhat nahīñ dī jā saktī
har kisī ko ye sahūlat nahīñ dī jā saktī
saañs lene ke liye sab ko mayassar hai havā
is se baḌh kar to ri.āyat nahīñ dī jā saktī
tum ko raas aa.e na aa.e mirī bastī kī fazā
yaañ kisī jaañ kī zamānat nahīñ dī jā saktī
ek muddat ke shab o roz lahū hote haiñ
tasht meñ rakh ke qayādat nahīñ dī jā saktī
ziist aur maut kā āḳhir ye fasāna kyā hai
umr kyuuñ hasb-e-zarūrat nahīñ dī jā saktī
in darīchoñ se koī mauja-e-ḳhush-kun aa.e
rāhat-e-jāñ ye ijāzat nahīñ dī jā saktī
soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai vagarna 'uzma'
barf ko narm harārat nahīñ dī jā saktī
sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti
har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti
sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa
is se baDh kar to riayat nahin di ja sakti
tum ko ras aae na aae meri basti ki faza
yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti
ek muddat ke shab o roz lahu hote hain
tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti
zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai
umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti
in darichon se koi mauja-e-KHush-kun aae
rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti
soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma'
barf ko narm hararat nahin di ja sakti
- Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 42)
- Author : Khalida Uzma
- Publication : Dunya e Adab, Karachi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.