san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe
san lī sadā-e-koh-e-nidā aur chal paḌe
ham ne kisī se kuchh na kahā aur chal paḌe
saa.e meñ do ghaḌī bhī na Thahre guzarte log
peḌoñ pe apnā naam likhā aur chal paḌe
Thahrī huī fazā meñ ulajhne lagā thā dam
ham ne huā kā giit sunā aur chal paḌe
tārīk rāstoñ kā safar sahl thā hameñ
raushan kiyā lahū kā diyā aur chal paḌe
raḳht-e-safar jo paas hamāre na thā to kyā
shauq-e-safar ko saath liyā aur chal paḌe
ghar meñ rahā thā kaun ki ruḳhsat kare hameñ
chaukhaT ko alvidā.a kahā aur chal paḌe
'maḳhmūr' vāpsī kā irāda na thā magar
dar ko khulā hī chhoḌ diyā aur chal paḌe
san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe
hum ne kisi se kuchh na kaha aur chal paDe
sae mein do ghaDi bhi na Thahre guzarte log
peDon pe apna nam likha aur chal paDe
Thahri hui faza mein ulajhne laga tha dam
hum ne hua ka git suna aur chal paDe
tarik raston ka safar sahl tha hamein
raushan kiya lahu ka diya aur chal paDe
raKHt-e-safar jo pas hamare na tha to kya
shauq-e-safar ko sath liya aur chal paDe
ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein
chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe
'maKHmur' wapsi ka irada na tha magar
dar ko khula hi chhoD diya aur chal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.