samundar sar paTak kar mar raha tha
samundar sar paTak kar mar rahā thā
to maiñ jiine kī koshish kar rahā thā
kisī se bhī nahīñ thā ḳhauf mujh ko
maiñ apne aap hī se Dar rahā thā
guzārish vaqt se maiñ ne na kī thī
ki merā zaḳhm ḳhud hī bhar rahā thā
hazāroñ saal kī thī aag mujh meñ
ragaḌne tak maiñ ik patthar rahā thā
tujhe us din kī choTeñ yaad hoñgī
mujhe pahchān, tere ghar rahā thā
samundar sar paTak kar mar raha tha
to main jine ki koshish kar raha tha
kisi se bhi nahin tha KHauf mujh ko
main apne aap hi se Dar raha tha
guzarish waqt se main ne na ki thi
ki mera zaKHm KHud hi bhar raha tha
hazaron sal ki thi aag mujh mein
ragaDne tak main ek patthar raha tha
tujhe us din ki choTen yaad hongi
mujhe pahchan, tere ghar raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.