sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha
sahar ne andhī galī kī taraf nahīñ dekhā
jise talab thī usī kī taraf nahīñ dekhā
qalaq thā sab ko samundar kī be-qarārī kā
kisī ne muḌ ke nadī kī taraf nahīñ dekhā
kachoke detī rahīñ ġhurbateñ mujhe lekin
mirī anā ne kisī kī taraf nahīñ dekhā
safar ke biich ye kaisā badal gayā mausam
ki phir kisī ne kisī kī taraf nahīñ dekhā
tamām 'umr guzārī ḳhayāl meñ jis ke
tamām 'umr usī kī taraf nahīñ dekhā
yazīdiyat kā añdherā thā saare kuufe meñ
kisī ne sibt-e-nabī kī taraf nahīñ dekhā
jo aa.ine se milā aa.ine pe jhunjhlāyā
kisī ne apnī kamī kī taraf nahīñ dekhā
mizāj-e-īd bhī samjhā tujhe bhī pahchānā
bas ek apne hī jī kī taraf nahīñ dekhā
sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha
jise talab thi usi ki taraf nahin dekha
qalaq tha sab ko samundar ki be-qarari ka
kisi ne muD ke nadi ki taraf nahin dekha
kachoke deti rahin ghurbaten mujhe lekin
meri ana ne kisi ki taraf nahin dekha
safar ke bich ye kaisa badal gaya mausam
ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha
tamam 'umr guzari KHayal mein jis ke
tamam 'umr usi ki taraf nahin dekha
yazidiyat ka andhera tha sare kufe mein
kisi ne sibt-e-nabi ki taraf nahin dekha
jo aaine se mila aaine pe jhunjhlaya
kisi ne apni kami ki taraf nahin dekha
mizaj-e-id bhi samjha tujhe bhi pahchana
bas ek apne hi ji ki taraf nahin dekha
- Book : zindagii (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.