safar mein rah ke aashob se na Dar jaana
safar meñ raah ke āshob se na Dar jaanā
paḌe jo aag kā dariyā to paar kar jaanā
ye ik ishāra hai āfāt-e-nā-gahānī kā
kisī maqām se chiḌiyoñ kā kuuch kar jaanā
ye intiqām hai dasht-e-balā se bādal kā
samundaroñ pe baraste hue guzar jaanā
tumhārā qurb bhī duurī kā isti.āra hai
ki jaise chāñd kā tālāb meñ utar jaanā
tulū-e-mahr-e-daraḳhshāñ kī ik alāmat hai
uThā.e sham-e-yaqīñ us kā daar par jaanā
the razm-gāh-e-mohabbat ke bhī ajab andāz
usī ne vaar kiyā jis ne be-sipar jaanā
har ik nafas pe guzartā hai ye gumāñ jaise
charāġh le ke havāoñ se jañg par jaanā
ham apne ishq kī ab aur kyā shahādat deñ
hameñ hamāre raqīboñ ne mo'tabar jaanā
mire yaqīñ ko baḌā bad-gumān kar ke gayā
duā-e-nīm-shabī terā be-asar jaanā
har ek shāḳh ko pahnā gayā numū kā libās
safīr-e-mausam-e-gul kā shajar shajar jaanā
zamāna biit gayā tark-e-ishq ko 'tishna'
magar gayā na hamārā idhar udhar jaanā
safar mein rah ke aashob se na Dar jaana
paDe jo aag ka dariya to par kar jaana
ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka
kisi maqam se chiDiyon ka kuch kar jaana
ye intiqam hai dasht-e-bala se baadal ka
samundaron pe baraste hue guzar jaana
tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai
ki jaise chand ka talab mein utar jaana
tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki ek alamat hai
uThae sham-e-yaqin us ka dar par jaana
the razm-gah-e-mohabbat ke bhi ajab andaz
usi ne war kiya jis ne be-sipar jaana
har ek nafas pe guzarta hai ye guman jaise
charagh le ke hawaon se jang par jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
mere yaqin ko baDa bad-guman kar ke gaya
dua-e-nim-shabi tera be-asar jaana
har ek shaKH ko pahna gaya numu ka libas
safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana
zamana bit gaya tark-e-ishq ko 'tishna'
magar gaya na hamara idhar udhar jaana
- Book : Pakistani Adab (Pg. 600)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.