sabab uski pareshani ka main hun
sabab us kī pareshānī kā maiñ huuñ
namak kī fasl vo paanī kā maiñ huuñ
ye jangal mujh ko raas aanā nahīñ hai
parinda dasht-e-imkānī kā maiñ huuñ
mirī mushkil mirī mushkil nahīñ hai
vasīla terī āsānī kā maiñ huuñ
mujhe duniyā luTā degī koī din
asāsa ālam-e-fānī kā maiñ huuñ
abhī sāhil mirā rasta na dekhe
abhī dariyā kī tuġhyānī kā maiñ huuñ
vahīñ mujh ko supurd-e-ḳhāk karnā
ki jis ḳhāk-e-bayābānī kā maiñ huuñ
mire hone kā kuchh matlab to hogā
to kyā bekār be-ma.anī kā maiñ huuñ
faqīrāna tabī'at kā huuñ varna
'talab' haqdār sultānī kā maiñ huuñ
sabab us ki pareshani ka main hun
namak ki fasl wo pani ka main hun
ye jangal mujh ko ras aana nahin hai
parinda dasht-e-imkani ka main hun
meri mushkil meri mushkil nahin hai
wasila teri aasani ka main hun
mujhe duniya luTa degi koi din
asasa aalam-e-fani ka main hun
abhi sahil mera rasta na dekhe
abhi dariya ki tughyani ka main hun
wahin mujh ko supurd-e-KHak karna
ki jis KHak-e-bayabani ka main hun
mere hone ka kuchh matlab to hoga
to kya bekar be-mani ka main hun
faqirana tabi'at ka hun warna
'talab' haqdar sultani ka main hun
- Book : Jahaan Gard (Pg. 25)
- Author : Khurshid Talab
- Publication : Adabistan Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.