sahil ke talabgar bhi kya KHub rahe hain
sāhil ke talabgār bhī kyā ḳhuub rahe haiñ
kahte the na Dūbeñge magar Duub rahe haiñ
tū laakh rahe ahl-e-mohabbat se gurezāñ
ham log tire naam se mansūb rahe haiñ
dekhā hai mohabbat ko ibādat kī nazar se
nafrat ke avāmil hameñ ma.ayūb rahe haiñ
lamhoñ ke liye ek nazar un ko to dekho
sadiyoñ kī salīboñ pe jo maslūb rahe haiñ
sahil ke talabgar bhi kya KHub rahe hain
kahte the na Dubenge magar Dub rahe hain
tu lakh rahe ahl-e-mohabbat se gurezan
hum log tere nam se mansub rahe hain
dekha hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke awamil hamein mayub rahe hain
lamhon ke liye ek nazar un ko to dekho
sadiyon ki salibon pe jo maslub rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.