rishta khujiyaya hua kutta hai
rishta khujiyāyā huā kuttā hai
ek kone meñ paTak rakkhā hai
raat ko ḳhvāb bahut dekhe haiñ
aaj ġham kal se zarā halkā hai
maiñ use yūñhī bachā detā huuñ
vo nishāne pe khiñchā baiThā hai
jab bhī chūkoge phisal jā.egā
haañ vo girne pe tulā baiThā hai
raat sūraj ko nigal hī legī
phir bhī din apnī jagah baḌhiyā hai
kaun se jalte dinoñ kī bāteñ
tum ne sūraj hī kahāñ dekhā hai
rishta khujiyaya hua kutta hai
ek kone mein paTak rakkha hai
raat ko KHwab bahut dekhe hain
aaj gham kal se zara halka hai
main use yunhi bacha deta hun
wo nishane pe khincha baiTha hai
jab bhi chukoge phisal jaega
han wo girne pe tula baiTha hai
raat suraj ko nigal hi legi
phir bhi din apni jagah baDhiya hai
kaun se jalte dinon ki baaten
tum ne suraj hi kahan dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.