raste jis taraf bulate hain
rāste jis taraf bulāte haiñ
ham usī samt chalte jaate haiñ
roz jaate haiñ apne ḳhvāboñ tak
roz chup-chāp lauT aate haiñ
uḌte phirte haiñ jo ḳhas o ḳhāshāk
ye koī dāstāñ sunāte haiñ
ye mohabbat bhī ek nekī hai
is ko dariyā meñ Daal aate haiñ
yaad ke is khañDar meñ aksar ham
apne dil kā surāġh paate haiñ
shaam se jal rahe haiñ be-masraf
in charāġhoñ ko ab bujhāte haiñ
raste jis taraf bulate hain
hum usi samt chalte jate hain
roz jate hain apne KHwabon tak
roz chup-chap lauT aate hain
uDte phirte hain jo KHas o KHashak
ye koi dastan sunate hain
ye mohabbat bhi ek neki hai
is ko dariya mein Dal aate hain
yaad ke is khanDar mein aksar hum
apne dil ka suragh pate hain
sham se jal rahe hain be-masraf
in charaghon ko ab bujhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.