pyasi thi ye KHud mere lahu ki
pyāsī thī ye ḳhud mire lahū kī
thī tez chhurī rag-e-gulū kī
dil kho ke na maiñ ne justujū kī
samjhā thā ki buuñd thī lahū kī
tum paas jo aa.e kho ga.e ham
jab tum na mile to justujū kī
sab zaḳhm ke Tāñke saath TuuTe
hājat na rahī koī rafū kī
ḳhud kho ga.e ham jahāñ meñ āḳhir
is had pe kisī kī justujū kī
dekhā ki zamīñ se aag niklī
jab buuñd Tapak paḌī lahū kī
roī vahāñ sham.a yaañ hañse phuul
vo qabr mirī thī ye adū kī
vo sāmne aa.e ġhash hue ye
muusā kī nazar kahāñ pe chūkī
tīroñ pe kisī ke baañT bhī duuñ
khaa.ī thī qasam isī lahū kī
is daaġh ko maiñ ne dil meñ rakkhā
dushman ne na jis kī aarzū kī
'jāved' vo laash kyuuñ uThā.eñ
marzī bhī to pūchh leñ adū kī
pyasi thi ye KHud mere lahu ki
thi tez chhuri rag-e-gulu ki
dil kho ke na main ne justuju ki
samjha tha ki bund thi lahu ki
tum pas jo aae kho gae hum
jab tum na mile to justuju ki
sab zaKHm ke Tanke sath TuTe
hajat na rahi koi rafu ki
KHud kho gae hum jahan mein aaKHir
is had pe kisi ki justuju ki
dekha ki zamin se aag nikli
jab bund Tapak paDi lahu ki
roi wahan shama yan hanse phul
wo qabr meri thi ye adu ki
wo samne aae ghash hue ye
musa ki nazar kahan pe chuki
tiron pe kisi ke banT bhi dun
khai thi qasam isi lahu ki
is dagh ko main ne dil mein rakkha
dushman ne na jis ki aarzu ki
'jawed' wo lash kyun uThaen
marzi bhi to puchh len adu ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.