pichhe muD ke dekhna achchha laga
pīchhe muḌ ke dekhnā achchhā lagā
ghar kā ḳhālī rāsta achchhā lagā
sāhiloñ par haath lahrāne lage
mujh ko apnā Dūbnā achchhā lagā
shaam jaise āñkheñ jhapkāne lagī
us ke hāthoñ meñ diyā achchhā lagā
bachche ne titlī pakaḌ kar chhoḌ dī
aaj mujh ko bhī ḳhudā achchhā lagā
halkī bārish thī havā thī shaam thī
ham ko apnā bhīgnā achchhā lagā
vo darīche meñ khaḌī achchhī lagī
haar bistar par paḌā achchhā lagā
jāntī thī vo maiñ ruk saktā nahīñ
lekin us kā roknā achchhā lagā
vo to 'qaisar' mar miTī mere liye
jaane us ko mujh meñ kyā achchhā lagā
pichhe muD ke dekhna achchha laga
ghar ka KHali rasta achchha laga
sahilon par hath lahrane lage
mujh ko apna Dubna achchha laga
sham jaise aankhen jhapkane lagi
us ke hathon mein diya achchha laga
bachche ne titli pakaD kar chhoD di
aaj mujh ko bhi KHuda achchha laga
halki barish thi hawa thi sham thi
hum ko apna bhigna achchha laga
wo dariche mein khaDi achchhi lagi
haar bistar par paDa achchha laga
jaanti thi wo main ruk sakta nahin
lekin us ka rokna achchha laga
wo to 'qaisar' mar miTi mere liye
jaane us ko mujh mein kya achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.