phir meri rah mein khaDi hogi
phir mirī raah meñ khaḌī hogī
vahī ik shai jo ajnabī hogī
shor sā hai lahū ke dariyā meñ
kis kī āvāz aa rahī hogī
phir mirī ruuh mere ghar kā pata
mere saa.e se pūchhtī hogī
kuchh nahīñ merī zard āñkhoñ meñ
Dūbte din kī raushnī hogī
raat bhar dil se bas yahī bāteñ
din ko phir dard meñ kamī hogī
bas yahī ek buuñd aañsū kī
mere hisse kī rah ga.ī hogī
phir mire intizār meñ mirī niiñd
mere bistar pe jāgtī hogī
jaane kyuuñ ik ḳhayāl sā aayā
maiñ na hūñgā to kyā kamī hogī
phir meri rah mein khaDi hogi
wahi ek shai jo ajnabi hogi
shor sa hai lahu ke dariya mein
kis ki aawaz aa rahi hogi
phir meri ruh mere ghar ka pata
mere sae se puchhti hogi
kuchh nahin meri zard aankhon mein
Dubte din ki raushni hogi
raat bhar dil se bas yahi baaten
din ko phir dard mein kami hogi
bas yahi ek bund aansu ki
mere hisse ki rah gai hogi
phir mere intizar mein meri nind
mere bistar pe jagti hogi
jaane kyun ek KHayal sa aaya
main na hunga to kya kami hogi
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 39)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.