phir ek dusri hijrat nahin zamin nahin
phir ek dūsrī hijrat nahīñ zamīn nahīñ
ye merī mamlikat-e-dard mujh se chhīn nahīñ
navāh-e-yād kī dil ne musāfirat chhoḌī
ki ek shaḳhs bhī us kunj kā makīn nahīñ
ġhubār-basta sitāroñ se bhar chukā āñkheñ
vo qāfila, ki kisī sub.h kā amiin nahīñ
maiñ tere hadiya-e-furqat pe kaise nāzāñ huuñ
mirī jabīñ pe tirā zaḳhm tak hasīn nahīñ
safar meñ huuñ ki nahīñ sochtā rahūñgā 'arsh'
zamīñ zamān nahīñ aur zamāñ zamīn nahīñ
phir ek dusri hijrat nahin zamin nahin
ye meri mamlikat-e-dard mujh se chhin nahin
nawah-e-yaad ki dil ne musafirat chhoDi
ki ek shaKHs bhi us kunj ka makin nahin
ghubar-basta sitaron se bhar chuka aankhen
wo qafila, ki kisi subh ka amin nahin
main tere hadiya-e-furqat pe kaise nazan hun
meri jabin pe tera zaKHm tak hasin nahin
safar mein hun ki nahin sochta rahunga 'arsh'
zamin zaman nahin aur zaman zamin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.