palang par jo kitab o sinan rakh dega
palañg par jo kitāb o sinān rakh degā
na.e safar ke liye kuchh nishān rakh degā
nishāna bāñdhegā vo pusht par magar jūñhī
palaT ke dekhoge hañs kar kamān rakh degā
ḳhud us kī zaat abhī goliyoñ kī zad par hai
vo kaise shahr meñ amn-o-amān rakh degā
bigaḌ gayā to junūnī lahū bhī pī legā
jo ḳhush huā to vo qadmoñ pe jaan rakh degā
gumāñ na thā ki lifāfe meñ ḳhat ke badle vo
lahū-luhān taḌaptī zabān rakh degā
palang par jo kitab o sinan rakh dega
nae safar ke liye kuchh nishan rakh dega
nishana bandhega wo pusht par magar junhi
palaT ke dekhoge hans kar kaman rakh dega
KHud us ki zat abhi goliyon ki zad par hai
wo kaise shahr mein amn-o-aman rakh dega
bigaD gaya to jununi lahu bhi pi lega
jo KHush hua to wo qadmon pe jaan rakh dega
guman na tha ki lifafe mein KHat ke badle wo
lahu-luhan taDapti zaban rakh dega
- Book : kushaad (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.