nikli jo aaj tak na kisi ki zaban se
niklī jo aaj tak na kisī kī zabān se
Takrā rahī hai baat vahī mere kaan se
sotā rahā maiñ ḳhauf kī chādar lapeT kar
aaseb chīḳhte rahe ḳhālī makān se
aksar maiñ ek zahr bujhe tiir kī tarah
niklā huuñ hādsāt kī tirchhī kamān se
phailā huā hai hadd-e-nazar tak sukūt-e-marg
āvāz de rahā hai koī āsmān se
tanhā.iyoñ ko sauñp ke tārīkiyoñ kā zahr
rātoñ ko bhaag aa.e ham apne makān se
mumkin hai ḳhuub khul ke ho guft-o-shunīd aaj
vo bhī ḳhafā hai ham bhī haiñ kuchh bad-gumān se
ai 'kaif' jin ko buġhz na.ī shā.erī se hai
vo bhī tire kalām ko paḌhte haiñ dhyān se
nikli jo aaj tak na kisi ki zaban se
Takra rahi hai baat wahi mere kan se
sota raha main KHauf ki chadar lapeT kar
aaseb chiKHte rahe KHali makan se
aksar main ek zahr bujhe tir ki tarah
nikla hun hadsat ki tirchhi kaman se
phaila hua hai hadd-e-nazar tak sukut-e-marg
aawaz de raha hai koi aasman se
tanhaiyon ko saunp ke tarikiyon ka zahr
raaton ko bhag aae hum apne makan se
mumkin hai KHub khul ke ho guft-o-shunid aaj
wo bhi KHafa hai hum bhi hain kuchh bad-guman se
ai 'kaif' jin ko bughz nai shaeri se hai
wo bhi tere kalam ko paDhte hain dhyan se
- Book : shab khuun (43) (rekhta website) (Pg. 52)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.