nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban
nikal gulāb kī muTThī se aur ḳhushbū ban
maiñ bhāgtā huuñ tire pīchhe aur tū jugnū ban
tū mere dard kī ḳhāmosh hichkiyoñ meñ aa
tū mere zaḳhm kī tanhā.iyoñ kā aañsū ban
maiñ jhiil bantā huuñ shaffāf pāniyoñ se bharī
tū dauḌ dauḌ thakā be-qarār aahū ban
tū merī raat kī tārīkiyoñ ko gāḌhā kar
mire makān kā tanhā charāġh bhī tū ban
phir us ke baad sabhī vus.ateñ hamārī haiñ
maiñ aañkh bantā huuñ 'jāved' aur tū baazū ban
nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban
main bhagta hun tere pichhe aur tu jugnu ban
tu mere dard ki KHamosh hichkiyon mein aa
tu mere zaKHm ki tanhaiyon ka aansu ban
main jhil banta hun shaffaf paniyon se bhari
tu dauD dauD thaka be-qarar aahu ban
tu meri raat ki tarikiyon ko gaDha kar
mere makan ka tanha charagh bhi tu ban
phir us ke baad sabhi wusaten hamari hain
main aankh banta hun 'jawed' aur tu bazu ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.