nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se
niiñd aa.ī hī nahīñ ham ko na pūchho kab se
aañkh lagtī hī nahīñ dil hai lagāyā jab se
un ko mahbūb kaheñ yā ki raqīb ab apnā
un ko bhī pyaar huā jaa.e hai apnī chhab se
ashk āñkhoñ se mirī nikle musalsal lekin
us ne ik harf-e-tasallī na nikālā lab se
dil sikhātā hai sab ādāb mohabbat ke ḳhud
ye sabaq sīkhā nahīñ jaatā kisī maktab se
apnī urdu to mohabbat kī zabāñ thī pyāre
uff siyāsat ne use joḌ diyā maz.hab se
maiñ bhī to dekhūñ ġharaz se jhukī āñkheñ un kī
kaash aa.eñ vo mire paas kabhī matlab se
bhiiḌ ham jaisoñ kī rahtī hai hamesha yuuñ to
raushnī hotī hai mahfil meñ bas ik kaukab se
mirī āñkhoñ ke liye raushnī se hai baḌh kar
tirī zulfoñ kī siyāhī jo hai gahrī shab se
siikh nafrat kī na de ai 'sadā' maz.hab koī
hai usuul apnā kiye jaao mohabbat sab se
nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se
aankh lagti hi nahin dil hai lagaya jab se
un ko mahbub kahen ya ki raqib ab apna
un ko bhi pyar hua jae hai apni chhab se
ashk aankhon se meri nikle musalsal lekin
us ne ek harf-e-tasalli na nikala lab se
dil sikhata hai sab aadab mohabbat ke KHud
ye sabaq sikha nahin jata kisi maktab se
apni urdu to mohabbat ki zaban thi pyare
uff siyasat ne use joD diya mazhab se
main bhi to dekhun gharaz se jhuki aankhen un ki
kash aaen wo mere pas kabhi matlab se
bhiD hum jaison ki rahti hai hamesha yun to
raushni hoti hai mahfil mein bas ek kaukab se
meri aankhon ke liye raushni se hai baDh kar
teri zulfon ki siyahi jo hai gahri shab se
sikh nafrat ki na de ai 'sada' mazhab koi
hai usul apna kiye jao mohabbat sab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.