nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai
nahr jis lashkar kī nigrānī meñ tab thī ab bhī hai
ḳheme vāloñ kī jo bastī tishna-lab thī ab bhī hai
uḌ rahe haiñ vaqt kī raftār se maġhrib kī samt
vaqt-e-āġhāz-e-safar jo tiira shab thī ab bhī hai
vaqt jaise ek hī saa.at pe aa ke ruk gayā
pahle jis shiddat se jo dil meñ talab thī ab bhī hai
ham shikāyat aañkh kī palkoñ se karte kis tarah
dāstān-e-zulm varna yaad sab thī ab bhī hai
husn meñ fitrī hijābāna ravish ab ho na ho
ishq ke maslak meñ jo hadd-e-adab thī ab bhī hai
roz o shab badleñge apne kis tarah aa.e yaqīñ
sūrat-e-hālāt jo pahle ajab thī ab bhī hai
haiñ baqā ke vasvase meñ ibtidā se mubtalā
dil meñ ik tashvīsh sī jo be-sabab thī ab bhī hai
naam is kā āmariyyat ho ki ho jamhūriyat
munsalik fir.auniyat masnad se tab thī ab bhī hai
nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai
KHeme walon ki jo basti tishna-lab thi ab bhi hai
uD rahe hain waqt ki raftar se maghrib ki samt
waqt-e-aghaz-e-safar jo tera shab thi ab bhi hai
waqt jaise ek hi saat pe aa ke ruk gaya
pahle jis shiddat se jo dil mein talab thi ab bhi hai
hum shikayat aankh ki palkon se karte kis tarah
dastan-e-zulm warna yaad sab thi ab bhi hai
husn mein fitri hijabana rawish ab ho na ho
ishq ke maslak mein jo hadd-e-adab thi ab bhi hai
roz o shab badlenge apne kis tarah aae yaqin
surat-e-haalat jo pahle ajab thi ab bhi hai
hain baqa ke waswase mein ibtida se mubtala
dil mein ek tashwish si jo be-sabab thi ab bhi hai
nam is ka aamariyyat ho ki ho jamhuriyat
munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 299)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.