munh-zabani quran paDhte the
muñh-zabānī qur.ān paḌhte the
pahle bachche bhī kitne būḌhe the
ik parinda sunā rahā thā ġhazal
chaar chhe peḌ mil ke sunte the
jin ko sochā thā aur dekhā bhī
aise do-chār hī to chehre the
ab to chup-chāp shaam aatī hai
pahle chiḌiyoñ ke shor hote the
raat utrā thā shāḳh par ik gul
chār-sū ḳhushbuoñ ke pahre the
aaj kī sub.h kitnī halkī hai
yaad paḌtā hai raat ro.e the
ye kahāñ dostoñ meñ aa baiThe
ham to marne ko ghar se nikle the
ye bhī din haiñ ki aag girtī hai
vo bhī din the ki phuul barse the
ab vo laḌkī nazar nahīñ aatī
ham jise roz dekh lete the
āñkheñ kholīñ to kuchh na thā 'alvī'
band āñkhoñ meñ lākhoñ jalve the
munh-zabani quran paDhte the
pahle bachche bhi kitne buDhe the
ek parinda suna raha tha ghazal
chaar chhe peD mil ke sunte the
jin ko socha tha aur dekha bhi
aise do-chaar hi to chehre the
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
raat utra tha shaKH par ek gul
chaar-su KHushbuon ke pahre the
aaj ki subh kitni halki hai
yaad paDta hai raat roe the
ye kahan doston mein aa baiThe
hum to marne ko ghar se nikle the
ye bhi din hain ki aag girti hai
wo bhi din the ki phul barse the
ab wo laDki nazar nahin aati
hum jise roz dekh lete the
aankhen kholin to kuchh na tha 'alwi'
band aankhon mein lakhon jalwe the
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 30)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.