mujhe un se mohabbat ho gai hai
mujhe un se mohabbat ho ga.ī hai
merī bhī koī qīmat ho ga.ī hai
vo jab se multafit mujh se hue haiñ
ye duniyā ḳhūbsūrat ho ga.ī hai
chaḌhāyā jā rahā huuñ daar par maiñ
bayāñ mujh se haqīqat ho ga.ī hai
ravāñ dariyā haiñ insānī lahū ke
magar paanī kī qillat ho ga.ī hai
mujhe bhī ik sitamgar ke karam se
sitam sahne kī aadat ho ga.ī hai
haqīqat ye hai ham kyā uTh ga.e haiñ
vafā duniyā se ruḳhsat ho ga.ī hai
ġham-e-jānāñ meñ jab se mubtalā huuñ
ġham-e-daurāñ se fursat ho ga.ī hai
ab un kī kufr-sāmānī bhī 'ātish'
dil-o-jāñ par ibārat ho ga.ī hai
mujhe un se mohabbat ho gai hai
meri bhi koi qimat ho gai hai
wo jab se multafit mujh se hue hain
ye duniya KHubsurat ho gai hai
chaDhaya ja raha hun dar par main
bayan mujh se haqiqat ho gai hai
rawan dariya hain insani lahu ke
magar pani ki qillat ho gai hai
mujhe bhi ek sitamgar ke karam se
sitam sahne ki aadat ho gai hai
haqiqat ye hai hum kya uTh gae hain
wafa duniya se ruKHsat ho gai hai
gham-e-jaanan mein jab se mubtala hun
gham-e-dauran se fursat ho gai hai
ab un ki kufr-samani bhi 'atish'
dil-o-jaan par ibarat ho gai hai
- Book : Jada-e-manzil (Pg. 69)
- Author : Atish Bahawalpuri
- Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.