mujhe is KHwab ne ek arse tak be-tab rakkha hai
mujhe is ḳhvāb ne ik arse tak be-tāb rakkhā hai
ik ūñchī chhat hai aur chhat par koī mahtāb rakkhā hai
kisī ke vāste taaza kināroñ ko ubhārā aur
mujhe sadiyoñ purāne shauq meñ ġharqāb rakkhā hai
jazīre aur sāhil sab zamāne ke liye rakkhe
mirā saarā ilāqa us ne zer-e-āb rakkhā hai
sutūn-e-shauq par ik raushnī sī paḌ rahī hai jo
charāġh-e-ārzū koī tah-e-mehrāb rakkhā hai
kisī ko to jahāñ bhar meñ farāvāñ kar diyā us ne
mujhe kuchh soch kar is dahr meñ nāyāb rakkhā hai
mujhe is KHwab ne ek arse tak be-tab rakkha hai
ek unchi chhat hai aur chhat par koi mahtab rakkha hai
kisi ke waste taza kinaron ko ubhaara aur
mujhe sadiyon purane shauq mein gharqab rakkha hai
jazire aur sahil sab zamane ke liye rakkhe
mera sara ilaqa us ne zer-e-ab rakkha hai
sutun-e-shauq par ek raushni si paD rahi hai jo
charagh-e-arzu koi tah-e-mehrab rakkha hai
kisi ko to jahan bhar mein farawan kar diya us ne
mujhe kuchh soch kar is dahr mein nayab rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.